KHak mein mil ke ham-aghosh-e-baqa ho jaana
KHak mein mil ke ham-aghosh-e-baqa ho jaana
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
ḳhaak meñ mil ke ham-āġhosh-e-baqā ho jaanā
ain hastī hai mohabbat meñ fanā ho jaanā
zabt ke baad dikhānā hai unheñ rang-e-asar
ai mirī aah ġharīboñ kī duā ho jaanā
imtihān-e-kashish-e-husn hai ai barq-e-jamāl
chāhtā huuñ tire jalvoñ meñ fanā ho jaanā
kaun minnat-kash-e-īsā ho pa-e-chāragarī
tū hī ai dard-e-jigar baḌh ke davā ho jaanā
tishna-e-lazzat-e-īzā-talabī haiñ chhāle
ḳhalish-e-ḳhār-e-junūñ aur sivā ho jaanā
ibrat-angez hai nazzāra-e-anjām-e-habāb
bahr-e-hastī meñ ubharnā hai fanā ho jaanā
daad detā ravish-e-nāz kī kaun ai 'farruḳh'
un kā uThnā hī thā ik hashr bapā ho jaanā
KHak mein mil ke ham-aghosh-e-baqa ho jaana
ain hasti hai mohabbat mein fana ho jaana
zabt ke baad dikhana hai unhen rang-e-asar
ai meri aah gharibon ki dua ho jaana
imtihan-e-kashish-e-husn hai ai barq-e-jamal
chahta hun tere jalwon mein fana ho jaana
kaun minnat-kash-e-isa ho pa-e-chaaragari
tu hi ai dard-e-jigar baDh ke dawa ho jaana
tishna-e-lazzat-e-iza-talabi hain chhaale
KHalish-e-KHar-e-junun aur siwa ho jaana
ibrat-angez hai nazzara-e-anjam-e-habab
bahr-e-hasti mein ubharna hai fana ho jaana
dad deta rawish-e-naz ki kaun ai 'farruKH'
un ka uThna hi tha ek hashr bapa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.