KHak meri bikhar gai hai kya
ḳhaak merī bikhar ga.ī hai kyā
āsmāñ tak nazar ga.ī hai kyā
kis liye tum udaas phirte ho
dil se duniyā utar ga.ī hai kyā
apnī marzī se dar-ba-dar huuñ maiñ
tū batā apne ghar ga.ī hai kyā
ai sabā jis taraf hai phuul mirā
ye batā tū udhar ga.ī hai kyā
ye jo din meñ badal ga.ī hai raat
zulf terī sañvar ga.ī hai kyā
tere māthe pe kyoñ pasīna hai
ḳhvāb meñ tū bhī Dar ga.ī hai kyā
is tarah kyoñ udaas baiThe ho
koī dil meñ utar ga.ī hai kyā
saarī duniyā ulaT ga.ī merī
tū idhar se udhar ga.ī hai kyā
ye jo manzil hai paañv meñ 'ḳhālid'
justujū kaam kar ga.ī hai kyā
KHak meri bikhar gai hai kya
aasman tak nazar gai hai kya
kis liye tum udas phirte ho
dil se duniya utar gai hai kya
apni marzi se dar-ba-dar hun main
tu bata apne ghar gai hai kya
ai saba jis taraf hai phul mera
ye bata tu udhar gai hai kya
ye jo din mein badal gai hai raat
zulf teri sanwar gai hai kya
tere mathe pe kyon pasina hai
KHwab mein tu bhi Dar gai hai kya
is tarah kyon udas baiThe ho
koi dil mein utar gai hai kya
sari duniya ulaT gai meri
tu idhar se udhar gai hai kya
ye jo manzil hai panw mein 'KHalid'
justuju kaam kar gai hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.