KHak ne apna tasallut tha jamaya jis dam
ḳhaak ne apnā tasallut thā jamāyā jis dam
maiñ ne aflāk ko sochoñ se uThāyā jis dam
mere atrāf bhī kohrām kā bādal barsā
maiñ ne ik shaḳhs ko kuchh der hī sochā jis dam
rābta TuuT ke hairānī talak aa pahuñchā
ek apnā mirā aġhyār meñ baiThā jis dam
vaqt to aan hī pahuñchā thā tire vasl kā bhī
silsila saañs kā us ruuh se TuuTā jis dam
merī āvāz mire paas palaT aa.ī thī
maiñ ne tanhā.ī meñ apnoñ ko pukārā jis dam
ro paḌā peḌ kisī dard kī lai ko le kar
ik parinde ne harī shāḳh ko nochā jis dam
dil mirā kostā rahtā hai usī pal ko 'humā'
ek patthar se bane but ko thā puujā jis dam
KHak ne apna tasallut tha jamaya jis dam
main ne aflak ko sochon se uThaya jis dam
mere atraf bhi kohram ka baadal barsa
main ne ek shaKHs ko kuchh der hi socha jis dam
rabta TuT ke hairani talak aa pahuncha
ek apna mera aghyar mein baiTha jis dam
waqt to aan hi pahuncha tha tere wasl ka bhi
silsila sans ka us ruh se TuTa jis dam
meri aawaz mere pas palaT aai thi
main ne tanhai mein apnon ko pukara jis dam
ro paDa peD kisi dard ki lai ko le kar
ek parinde ne hari shaKH ko nocha jis dam
dil mera kosta rahta hai usi pal ko 'huma'
ek patthar se bane but ko tha puja jis dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.