KHak o KHala ka hisar aur main
ḳhaak o ḳhalā kā hisār aur maiñ
hadd-e-nazar tak ġhubār aur maiñ
shaam o sahar intizār aur maiñ
silsila-e-e'tibār aur maiñ
bikhre hue shāhkār aur maiñ
duur tak intishār aur maiñ
dil meñ utartī huī us kī yaad
ālam-e-be-iḳhtiyār aur maiñ
sar pe ghanī dhuup kā hai sā.ebān
pāñv-tale reg-zār aur maiñ
KHak o KHala ka hisar aur main
hadd-e-nazar tak ghubar aur main
sham o sahar intizar aur main
silsila-e-e'tibar aur main
bikhre hue shahkar aur main
dur tak intishaar aur main
dil mein utarti hui us ki yaad
aalam-e-be-iKHtiyar aur main
sar pe ghani dhup ka hai saeban
panw-tale reg-zar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.