KHak par KHun ki tahrir se pahchane gae
ḳhaak par ḳhuun kī tahrīr se pahchāne ga.e
tire vahshī tirī zanjīr se pahchāne ga.e
apnī tasvīr se mumkin hī na thī apnī shanāḳht
ham kisī aur kī tasvīr se pahchāne ga.e
jin meñ raushan thā tirī diid kā saudā vo sar
laakh añdhere meñ bhī shamshīr se pahchāne ga.e
kyā qayāmat hai ki sau baar ke soche hue log
sāmne aa.e to tāḳhīr se pahchāne ga.e
dost pahchāne ga.e apne nishāne se aur
ham bhī siine meñ lage tiir se pahchāne ga.e
ḳhvāb meñ to koī chehra hī nahīñ thā un kā
haiñ kuchh ik ġham ki jo ta.abīr se pahchāne ga.e
ḳhāmushī asl meñ uslūb thī ham jaisoñ kā
ham isī lahja-e-taqrīr se pahchāne ga.e
zehn-e-tārīk meñ be-nām-o-nasab the kuchh dard
jo chamak uThne kī tadbīr se pahchāne ga.e
KHak par KHun ki tahrir se pahchane gae
tere wahshi teri zanjir se pahchane gae
apni taswir se mumkin hi na thi apni shanaKHt
hum kisi aur ki taswir se pahchane gae
jin mein raushan tha teri did ka sauda wo sar
lakh andhere mein bhi shamshir se pahchane gae
kya qayamat hai ki sau bar ke soche hue log
samne aae to taKHir se pahchane gae
dost pahchane gae apne nishane se aur
hum bhi sine mein lage tir se pahchane gae
KHwab mein to koi chehra hi nahin tha un ka
hain kuchh ek gham ki jo tabir se pahchane gae
KHamushi asl mein uslub thi hum jaison ka
hum isi lahja-e-taqrir se pahchane gae
zehn-e-tarik mein be-nam-o-nasab the kuchh dard
jo chamak uThne ki tadbir se pahchane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.