KHak par phenka hawaon ne uTha le mujhko
ḳhaak par pheñkā havāoñ ne uThā le mujh ko
phuul huuñ coat ke collar pe sajā le mujh ko
kab se maiñ ret ke marqad meñ paḌā huuñ zinda
sat.h par mauj kisī din to uchhāle mujh ko
surḳhī-e-ḳhūñ meñ chamak hai ki mirī āñkhoñ meñ
roz vo rañg dikhātā hai nirāle mujh ko
saath hī mujh ko girā le na lachaktā huā peḌ
uḌtā bādal na kahīñ saath uḌā le mujh ko
kaañp uTThī hai kisī aur ke ghar kī buniyād
aur koī chīḳhtā hai mujh meñ bachā le mujh ko
raakh ho jā.ūñ na ḳhvāhish kī jalan se 'hāmid'
koī is jalte jazīre se nikāle mujh ko
KHak par phenka hawaon ne uTha le mujh ko
phul hun coat ke collar pe saja le mujh ko
kab se main ret ke marqad mein paDa hun zinda
sath par mauj kisi din to uchhaale mujh ko
surKHi-e-KHun mein chamak hai ki meri aankhon mein
roz wo rang dikhata hai nirale mujh ko
sath hi mujh ko gira le na lachakta hua peD
uDta baadal na kahin sath uDa le mujh ko
kanp uTThi hai kisi aur ke ghar ki buniyaad
aur koi chiKHta hai mujh mein bacha le mujh ko
rakh ho jaun na KHwahish ki jalan se 'hamid'
koi is jalte jazire se nikale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.