KHak sahraon mein uDane ka
ḳhaak sahrāoñ meñ uḌāne kā
kyā 'ajab shauq hai divāne kā
ek lā-muntahā.ī rishta hai
terī zulfoñ se mere shāne kā
pā liyā hai kisī tarah jo use
ḳhauf rahne lagā gañvāne kā
kyā bhugatnā paḌā hai ḳhamyāza
is ḳharābe se dil lagāne kā
aañkh patthar huī hai rastoñ par
intizār aur tere aane kā
ab bahāna talāsh kartā huuñ
terī sūrat ko bhuul jaane kā
'nūr' insān shāhkār huā
qudrat-e-haq ke kār-ḳhāne kā
KHak sahraon mein uDane ka
kya 'ajab shauq hai diwane ka
ek la-muntahai rishta hai
teri zulfon se mere shane ka
pa liya hai kisi tarah jo use
KHauf rahne laga ganwane ka
kya bhugatna paDa hai KHamyaza
is KHarabe se dil lagane ka
aankh patthar hui hai raston par
intizar aur tere aane ka
ab bahana talash karta hun
teri surat ko bhul jaane ka
'nur' insan shahkar hua
qudrat-e-haq ke kar-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.