KHak samjhega koi pal-bhar mein
ḳhaak samjhegā koī pal-bhar meñ
aag kis samt se lagī ghar meñ
zehnī pāgal haiñ sirf mandir meñ
koī shankar nahīñ haiñ patthar meñ
log to is tarah se dekhe haiñ
jaise aaseb hoñ mire ghar meñ
jis ne merī hañsī ḳhushī chhīnī
ab talak jiitā hai isī Dar meñ
ek kashtī thī jaan kī dushman
chhoḌ kar aa gayā samundar meñ
aur kitnā tujhe maiñ mahkā.ūñ
aur ḳhushbū nahīñ gul-e-tar meñ
ek had tak hī yaar ko puujā
kaun paḌtā vafā ke chakkar meñ
apnī qismat badaltā rahtā hai
ik nujūmī hai har suḳhanvar meñ
ḳhud pe saare azaab le lūñgā
yaad karnā kabhī to mahshar meñ
dil ujaḌ jaate haiñ bahut lekin
koī martā nahīñ hai khanDar meñ
kis ke hisse kī bach ga.ī 'sohil'
aaj thoḌī sharāb sāġhar meñ
KHak samjhega koi pal-bhar mein
aag kis samt se lagi ghar mein
zehni pagal hain sirf mandir mein
koi shankar nahin hain patthar mein
log to is tarah se dekhe hain
jaise aaseb hon mere ghar mein
jis ne meri hansi KHushi chhini
ab talak jita hai isi Dar mein
ek kashti thi jaan ki dushman
chhoD kar aa gaya samundar mein
aur kitna tujhe main mahkaun
aur KHushbu nahin gul-e-tar mein
ek had tak hi yar ko puja
kaun paDta wafa ke chakkar mein
apni qismat badalta rahta hai
ek nujumi hai har suKHanwar mein
KHud pe sare azab le lunga
yaad karna kabhi to mahshar mein
dil ujaD jate hain bahut lekin
koi marta nahin hai khanDar mein
kis ke hisse ki bach gai 'sohil'
aaj thoDi sharab saghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.