KHak se lala-o-gul sumbul-o-raihan nikle
ḳhaak se lāla-o-gul sumbul-o-raihāñ nikle
tum bhī parde se nikal aao ki armāñ nikle
band āñkheñ kiye ham muntazir-e-jalva rahe
jab khulī aañkh to ḳhud jalva-e-jānāñ nikle
be-takalluf mujhe āzād-nigāhī manzūr
ḳhud ta'ayyun se magar jalva-e-jānāñ nikle
shaiḳh maiḳhāne meñ aane ko musalmān aayā
kaash maiḳhāne se nikle to musalmāñ nikle
kyā koī bazm-e-hasīñ zer-e-zamīñ aur bhī hai
phuul kyuuñ chāk-jigar chāk-garebāñ nikle
rang-o-bū qāfla-dar-qāfla aa.e the 'zahīn'
chand uḌte hue saa.e the gurezāñ nikle
KHak se lala-o-gul sumbul-o-raihan nikle
tum bhi parde se nikal aao ki arman nikle
band aankhen kiye hum muntazir-e-jalwa rahe
jab khuli aankh to KHud jalwa-e-jaanan nikle
be-takalluf mujhe aazad-nigahi manzur
KHud ta'ayyun se magar jalwa-e-jaanan nikle
shaiKH maiKHane mein aane ko musalman aaya
kash maiKHane se nikle to musalman nikle
kya koi bazm-e-hasin zer-e-zamin aur bhi hai
phul kyun chaak-jigar chaak-gareban nikle
rang-o-bu qafla-dar-qafla aae the 'zahin'
chand uDte hue sae the gurezan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.