KHak se tabdil ho kar aab ho jate hain hum
ḳhaak se tabdīl ho kar aab ho jaate haiñ ham
us badan-dariyā meñ jab ġharqāb ho jaate haiñ ham
vo nazar-andāz kartā hai to ho jaate haiñ gum
vo bulātā hai to phir pāyāb ho jaate haiñ ham
log jab tā'rīf karte haiñ to khil uThte haiñ aur
us ke chehre par ba-shakl-e-āb ho jaate haiñ ham
ham se ik girdāb kī sūrat lipaT jaatā hai vo
aur vufūr-e-shauq meñ sailāb ho jaate haiñ ham
hai koī jaadū ki aksar ik usī kī bazm meñ
jhāñkte hī sūrat-e-ādāb ho jaate haiñ ham
KHak se tabdil ho kar aab ho jate hain hum
us badan-dariya mein jab gharqab ho jate hain hum
wo nazar-andaz karta hai to ho jate hain gum
wo bulata hai to phir payab ho jate hain hum
log jab ta'rif karte hain to khil uThte hain aur
us ke chehre par ba-shakl-e-ab ho jate hain hum
hum se ek girdab ki surat lipaT jata hai wo
aur wufur-e-shauq mein sailab ho jate hain hum
hai koi jadu ki aksar ek usi ki bazm mein
jhankte hi surat-e-adab ho jate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.