KHak se uThna KHak mein sona KHak ko banda bhul gaya
ḳhaak se uThnā ḳhaak meñ sonā ḳhaak ko banda bhuul gayā
duniyā ke dastūr nirāle aap se rishta bhuul gayā
jañgal jañgal jog meñ tere phirte haiñ ik rog liye
tire milan kī aas jagī hai dasht kā rasta bhuul gayā
ek mohabbat raas hai dil ko ek vafā anmol sanam
bhes faqīroñ vaalā bhar ke zaat kā sahrā bhuul gayā
ḳhvāb meñ jab se dekhā us ko chain nahīñ hai āñkhoñ meñ
saarī raat musalsal kaaTī ḳhvāb kā rasta bhuul gayā
shaam Dhale ik pahlā taarā ham se milne aayā thā
duur bides meñ rahne vaalā apnā parāyā bhuul gayā
har dhaḌkan se pyaar kā amrit har ik lafz meñ utrā thā
saarī umr jo likkhā dil ne vahī vazīfa bhuul gayā
maalā japte japte guzrī umr kisī sanyāsī kī
manzil paas jo aa pahuñchī to ishq sahīfa bhuul gayā
KHak se uThna KHak mein sona KHak ko banda bhul gaya
duniya ke dastur nirale aap se rishta bhul gaya
jangal jangal jog mein tere phirte hain ek rog liye
tere milan ki aas jagi hai dasht ka rasta bhul gaya
ek mohabbat ras hai dil ko ek wafa anmol sanam
bhes faqiron wala bhar ke zat ka sahra bhul gaya
KHwab mein jab se dekha us ko chain nahin hai aankhon mein
sari raat musalsal kaTi KHwab ka rasta bhul gaya
sham Dhale ek pahla tara hum se milne aaya tha
dur bides mein rahne wala apna paraya bhul gaya
har dhaDkan se pyar ka amrit har ek lafz mein utra tha
sari umr jo likkha dil ne wahi wazifa bhul gaya
mala japte japte guzri umr kisi sanyasi ki
manzil pas jo aa pahunchi to ishq sahifa bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.