KHak tak mere aashiyane ki
ḳhaak tak mere āshiyāne kī
le uḌī hai havā zamāne kī
apnī taqdīr āzmāne kī
aarzū hai kisī ko paane kī
kyā karoge hamārā dil le kar
tum ko aadat hai bhuul jaane kī
sach kaho kis se pyaar hai tum ko
ham se kyā baat hai chhupāne kī
ham yūñhī chāhte raheñge tumheñ
ham ko parvā nahīñ zamāne kī
barq-o-bārāñ se pūchh ai bulbul
dāstāñ mere āshiyāne kī
koī tadbīr ai dil-e-nādāñ
baat bigḌī huī banāne kī
sāqiyā terī mai-fishāñ nazreñ
aabrū haiñ sharāb ḳhāne kī
ham ko pāmāl kar ga.ī 'nayyar'
har adā sañg-dil zamāne kī
KHak tak mere aashiyane ki
le uDi hai hawa zamane ki
apni taqdir aazmane ki
aarzu hai kisi ko pane ki
kya karoge hamara dil le kar
tum ko aadat hai bhul jaane ki
sach kaho kis se pyar hai tum ko
hum se kya baat hai chhupane ki
hum yunhi chahte rahenge tumhein
hum ko parwa nahin zamane ki
barq-o-baran se puchh ai bulbul
dastan mere aashiyane ki
koi tadbir ai dil-e-nadan
baat bigDi hui banane ki
saqiya teri mai-fishan nazren
aabru hain sharab KHane ki
hum ko pamal kar gai 'nayyar'
har ada sang-dil zamane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.