KHak uDti hai sabab kuchh bhi nahin
ḳhaak uḌtī hai sabab kuchh bhī nahīñ
ab mujhe apnī talab kuchh bhī nahīñ
roz bistar pe ḳhayāl aatā hai
aañkh lag jaa.e to shab kuchh bhī nahīñ
paañv āhista nikālo bāhar
ghar bikhar jaa.e ajab kuchh bhī nahīñ
maañg letā huuñ duā aadat hai
varna is dil kī talab kuchh bhī nahīñ
aag raushan thī kabhī siine meñ
sirf ehsās hai ab kuchh bhī nahīñ
KHak uDti hai sabab kuchh bhi nahin
ab mujhe apni talab kuchh bhi nahin
roz bistar pe KHayal aata hai
aankh lag jae to shab kuchh bhi nahin
panw aahista nikalo bahar
ghar bikhar jae ajab kuchh bhi nahin
mang leta hun dua aadat hai
warna is dil ki talab kuchh bhi nahin
aag raushan thi kabhi sine mein
sirf ehsas hai ab kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.