KHak ugati hain suraten kya kya
ḳhaak ugātī haiñ sūrateñ kyā kyā
ā.inoñ meñ haiñ hairateñ kyā kyā
umr ke be-sabāt safhoñ par
likh rahā huuñ ibārateñ kyā kyā
khulte jaate haiñ bāb-e-harf-o-sadā
ho rahī haiñ ziyārateñ kyā kyā
muḌ ke dekhūñ to naqsh-e-pā kī tarah
ham-safar haiñ rivāyateñ kyā kyā
lafz āvāz aur saa.e meñ
DhūñDhtā huuñ shabāhateñ kyā kyā
ḳhvāb se paikar-e-ma.ānī tak
rūnumā haiñ alāmateñ kyā kyā
rañg laa.ī hai hasrat-e-tāmīr
gir rahī haiñ imārateñ kyā kyā
aadmī marsiyoñ kī sūrat meñ
likh rahā hai bashārateñ kyā kyā
KHak ugati hain suraten kya kya
aainon mein hain hairaten kya kya
umr ke be-sabaat safhon par
likh raha hun ibaraten kya kya
khulte jate hain bab-e-harf-o-sada
ho rahi hain ziyaraten kya kya
muD ke dekhun to naqsh-e-pa ki tarah
ham-safar hain riwayaten kya kya
lafz aawaz aur sae mein
DhunDhta hun shabahaten kya kya
KHwab se paikar-e-maani tak
runuma hain alamaten kya kya
rang lai hai hasrat-e-tamir
gir rahi hain imaraten kya kya
aadmi marsiyon ki surat mein
likh raha hai bashaaraten kya kya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 605)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.