KHak ya kahkashan se uThta hai
Interesting Fact
Dedicated to Mir
ḳhaak yā kahkashāñ se uThtā hai
dard āḳhir kahāñ se uThtā hai
hai ajab jā-e-amn qarya-e-dil
hashr saarā jahāñ se uThtā hai
dekh ai āh-e-sākinān-e-zamīñ
ik ġhubār āsmāñ se uThtā hai
pahle ye ḳhār-o-ḳhas jalātā thā
sho.ala ab gulsitāñ se uThtā hai
mas.ala ḳhātir-e-pareshāñ kā
ḳhvāhish-e-rā.egāñ se uThtā hai
ik ḳhalā hai jo pur nahīñ hotā
jab koī darmiyāñ se uThtā hai
shāhkār-e-suḳhan hai misra-e-'mīr'
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai
KHak ya kahkashan se uThta hai
dard aaKHir kahan se uThta hai
hai ajab ja-e-amn qarya-e-dil
hashr sara jahan se uThta hai
dekh ai aah-e-sakinan-e-zamin
ek ghubar aasman se uThta hai
pahle ye KHar-o-KHas jalata tha
shoala ab gulsitan se uThta hai
masala KHatir-e-pareshan ka
KHwahish-e-raegan se uThta hai
ek KHala hai jo pur nahin hota
jab koi darmiyan se uThta hai
shahkar-e-suKHan hai misra-e-'mir'
kab ye tujh na-tawan se uThta hai
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 36)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.