KHaksari dil-e-nadan bacha ke rakhna
ḳhāksārī dil-e-nādān bachā ke rakhnā
sarfarāzī ke sab imkān bachā ke rakhnā
dil ke dāġhoñ kā ujālā ho ki sahrā kī bahār
'āshiqī kā chamanistān bachā ke rakhnā
zulf-e-shab-rang meñ raushan sahī tasvīr-e-jamāl
kufr phir kufr hai īmān bachā ke rakhnā
jab amānat hai kisī kī to amānat hī rahe
qatl ke din haiñ mirī jaan bachā ke rakhnā
kyā 'ajab aa.e kisī roz buzurgoñ kā ḳhayāl
merī DyoḌhī mirā dālān bachā ke rakhnā
baḌī mehnat se likhā hai shab-e-hijrāñ kā hisāb
sub.h vaalo mirā dīvān bachā ke rakhnā
aaj bhī shahr meñ tanhā nazar aate ho 'ra.īs'
zinda rahne ko ye pahchān bachā ke rakhnā
KHaksari dil-e-nadan bacha ke rakhna
sarfaraazi ke sab imkan bacha ke rakhna
dil ke daghon ka ujala ho ki sahra ki bahaar
'ashiqi ka chamanistan bacha ke rakhna
zulf-e-shab-rang mein raushan sahi taswir-e-jamal
kufr phir kufr hai iman bacha ke rakhna
jab amanat hai kisi ki to amanat hi rahe
qatl ke din hain meri jaan bacha ke rakhna
kya 'ajab aae kisi roz buzurgon ka KHayal
meri DyoDhi mera dalan bacha ke rakhna
baDi mehnat se likha hai shab-e-hijran ka hisab
subh walo mera diwan bacha ke rakhna
aaj bhi shahr mein tanha nazar aate ho 'rais'
zinda rahne ko ye pahchan bacha ke rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.