KHaksari se yahan tak martaba uncha hua
KHaksari se yahan tak martaba uncha hua
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
ḳhāksārī se yahāñ tak martaba ūñchā huā
dīda-e-gardūñ kī putlī ḳhaak aag kā putlā huā
huuñ tilism-e-rang-o-bū ke pher meñ bhūlā huā
aadmī banda bashar hai kyā karūñ dhokā huā
ik piyāla thā ḳharābāt-e-azal kā āsmāñ
vo bhī apnī gardish-e-qismat se hai ulTā huā
ye ḳhamoshī hai guzargāh-e-jahāñ meñ al-amāñ
koī kuchh kahtā nahīñ aatā huā jaatā huā
'ālam-e-nairang kī rangīniyāñ haiñ dil-fareb
aur bhī vo rang laayā rang jo phīkā huā
mauj-e-rahmat hauz-e-kausar ke kināre le ga.ī
mai-kashoñ kā gulshan-e-firdaus meñ mela huā
ātish-e-ḳhāmosh ke mānind thā pahlū meñ dil
un ke dāman kī havā lagte hī angārā huā
mast āñkheñ dekh kar 'kaifī' kī mat jaatī rahī
kaun maiḳhāne meñ us se baḌh ke matvālā huā
KHaksari se yahan tak martaba uncha hua
dida-e-gardun ki putli KHak aag ka putla hua
hun tilism-e-rang-o-bu ke pher mein bhula hua
aadmi banda bashar hai kya karun dhoka hua
ek piyala tha KHarabaat-e-azal ka aasman
wo bhi apni gardish-e-qismat se hai ulTa hua
ye KHamoshi hai guzargah-e-jahan mein al-aman
koi kuchh kahta nahin aata hua jata hua
'alam-e-nairang ki ranginiyan hain dil-fareb
aur bhi wo rang laya rang jo phika hua
mauj-e-rahmat hauz-e-kausar ke kinare le gai
mai-kashon ka gulshan-e-firdaus mein mela hua
aatish-e-KHamosh ke manind tha pahlu mein dil
un ke daman ki hawa lagte hi angara hua
mast aankhen dekh kar 'kaifi' ki mat jati rahi
kaun maiKHane mein us se baDh ke matwala hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.