KHaksaron ke fan karare hain
ḳhāksāroñ ke fan karāre haiñ
ḳhaak oḌhe hue sharāre haiñ
aadmī ye bhī vo bhī saare haiñ
nit na.e rañg-rūp dhāre haiñ
kyoñ na ḳhud-bīñ hoñ māh-pāre haiñ
pyaar karte nahīñ jo pyāre haiñ
miT ga.e jo vafā kī rāhoñ meñ
kitne anmiT nishāñ ubhāre haiñ
kis se shikva ho bevafā.ī kā
ham to apnī vafā ke maare haiñ
yaas hī yaas tum hamāre ho
aas hī aas ham tumhāre haiñ
yaad terī baḌā sahārā hai
tujh ko bhūle to be-sahārā haiñ
yuuñ bujhe dil kī hasrateñ na kured
raakh ke Dher meñ sharāre haiñ
jin kī koī sahar na shaam koī
ham ne aise bhī din guzāre haiñ
kitne guzre haiñ hādse dil par
vo jo pyāre the dil ko pyāre haiñ
jaan levā haiñ pyaar ke rishte
un pe marte haiñ jin ke maare haiñ
ġham meñ hañstā ḳhushī meñ rotā hai
taur 'āmir' ke sab niyāre haiñ
KHaksaron ke fan karare hain
KHak oDhe hue sharare hain
aadmi ye bhi wo bhi sare hain
nit nae rang-rup dhaare hain
kyon na KHud-bin hon mah-pare hain
pyar karte nahin jo pyare hain
miT gae jo wafa ki rahon mein
kitne anmiT nishan ubhaare hain
kis se shikwa ho bewafai ka
hum to apni wafa ke mare hain
yas hi yas tum hamare ho
aas hi aas hum tumhaare hain
yaad teri baDa sahaara hai
tujh ko bhule to be-sahaara hain
yun bujhe dil ki hasraten na kured
rakh ke Dher mein sharare hain
jin ki koi sahar na sham koi
hum ne aise bhi din guzare hain
kitne guzre hain hadse dil par
wo jo pyare the dil ko pyare hain
jaan lewa hain pyar ke rishte
un pe marte hain jin ke mare hain
gham mein hansta KHushi mein rota hai
taur 'amir' ke sab niyare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.