Khaal-o-KHad oDhe tasawwur ko pareshan kiya
ḳhāl-o-ḳhad oḌhe tasavvur ko pareshān kiyā
ishq ne apne ta.iiñ jism kā nuqsān kiyā
ḳhud chalī aa.ī zarūrat mire darvāze par
maiñ ne ik rah pe jo taskīn ko qurbān kiyā
raat Dhalne se bahut pahle kā qissa hai visāl
jis ne kuchh bujhte charāġhoñ ko pashemān kiyā
raushnī uuñgh rahī thī kahīñ dīvār ke beach
maiñ ne jab tiira makānoñ se gurezān kiyā
ḳhvāb aur ḳhauf ne aa.ine meñ ram karnā thā
yak-ba-yak lau kī lapak ne mujhe hairān kiyā
KHal-o-KHad oDhe tasawwur ko pareshan kiya
ishq ne apne tain jism ka nuqsan kiya
KHud chali aai zarurat mere darwaze par
main ne ek rah pe jo taskin ko qurban kiya
raat Dhalne se bahut pahle ka qissa hai visal
jis ne kuchh bujhte charaghon ko pasheman kiya
raushni ungh rahi thi kahin diwar ke beach
main ne jab tera makanon se gurezan kiya
KHwab aur KHauf ne aaine mein ram karna tha
yak-ba-yak lau ki lapak ne mujhe hairan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.