ḳhālī hāthoñ se lauT kar jaanā
kitnā mushkil hai aise ghar jaanā
achchhā hotā hai aadmī ke liye
baa'z auqāt thoḌā Dar jaanā
shak dilā.egā sab ko phūloñ par
baaġh meñ titliyoñ kā mar jaanā
jhūTe vā'de kiye haiñ logoñ ne
ek do baar tum bhī kar jaanā
us ne saaya hamārā chhīn liyā
ham ne jis shaḳhs ko shajar jaanā
saarī duniyā yahī to kartī hai
tum bhī hañste hue guzar jaanā
āsmāñ kā chalan durust nahīñ
is bulandī se tum utar jaanā
us ke baazū baḌe kushāda haiñ
ai mire dil zarā bikhar jaanā
achchhā lagtā hai pyaar meñ tere
bātoñ bātoñ meñ yuuñ mukar jaanā
tū palaT aaya par nahīñ mumkin
tere shā'ir kā ab sudhar jaanā
koī achchhā shagun nahīñ bhaa.ī
ret se jhiil kā ye bhar jaanā
haath tab kāTne kā sochā gayā
jab du'āoñ ko be-asar jaanā
maiñ bahut e'tibār kartā huuñ
tum koī ghaat hī na kar jaanā
tere ruḳh ke sabab huā mumkin
phuul kā is tarah nikhar jaanā
koī taqlīd ke nahīñ qābil
tum faqat apne aap par jaanā
kar gayā shal mirī samā'at ko
terā ḳhāmoshī se guzar jaanā
ab maiñ ārām karnā chāhūñgā
āḳhirī vaar ho to kar jaanā
saath apne bhī ham rahe 'ātif'
ham ne ḳhud ko nahīñ magar jaanā
KHali hathon se lauT kar jaana
kitna mushkil hai aise ghar jaana
achchha hota hai aadmi ke liye
ba'z auqat thoDa Dar jaana
shak dilaega sab ko phulon par
bagh mein titliyon ka mar jaana
jhuTe wa'de kiye hain logon ne
ek do bar tum bhi kar jaana
us ne saya hamara chhin liya
hum ne jis shaKHs ko shajar jaana
sari duniya yahi to karti hai
tum bhi hanste hue guzar jaana
aasman ka chalan durust nahin
is bulandi se tum utar jaana
us ke bazu baDe kushada hain
ai mere dil zara bikhar jaana
achchha lagta hai pyar mein tere
baaton baaton mein yun mukar jaana
tu palaT aaya par nahin mumkin
tere sha'ir ka ab sudhar jaana
koi achchha shagun nahin bhai
ret se jhil ka ye bhar jaana
hath tab kaTne ka socha gaya
jab du'aon ko be-asar jaana
main bahut e'tibar karta hun
tum koi ghat hi na kar jaana
tere ruKH ke sabab hua mumkin
phul ka is tarah nikhar jaana
koi taqlid ke nahin qabil
tum faqat apne aap par jaana
kar gaya shal meri sama'at ko
tera KHamoshi se guzar jaana
ab main aaram karna chahunga
aaKHiri war ho to kar jaana
sath apne bhi hum rahe 'atif'
hum ne KHud ko nahin magar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.