Khaali hai zehn taqat-e-guftar kya kare
ḳhālī hai zehn tāqat-e-guftār kyā kare
hai aañkh band rauzan-e-dīvār kyā kare
ham 'aql dil ke sāmne rakhte rahe vale
dariyā ke aage ret kī dīvār kyā kare
jī merā ab to merī bhī sohbat se tang hai
har rishta yaañ hai bā.is-e-āzār kyā kare
har-sū hai kā.enāt meñ apne lahū kā rang
ho chashm-e-dil se duur to dīdār kyā kare
kahtā huuñ baar baar samajhtā nahīñ koī
bahrā ho dil to baat pe isrār kyā kare
juz teġh dard-e-jāñ kā nahīñ koī shai ‘ilāj
ḳhālī hai haath dīda-e-ḳhūñ-bār kyā kare
har falsafe se shauq hai āzād sar-ba-sar
iqrār kyā kare yahāñ inkār kyā kare
uljhe hue haiñ kitne tamannā ke silsile
ai ḳhāliq-e-hayāt gunahgār kyā kare
rāh-e-nabī meñ bachche javāñ-pīr sab ga.e
ḳheme meñ tanhā ābid-e-bīmār kyā kare
KHali hai zehn taqat-e-guftar kya kare
hai aankh band rauzan-e-diwar kya kare
hum 'aql dil ke samne rakhte rahe wale
dariya ke aage ret ki diwar kya kare
ji mera ab to meri bhi sohbat se tang hai
har rishta yan hai bais-e-azar kya kare
har-su hai kaenat mein apne lahu ka rang
ho chashm-e-dil se dur to didar kya kare
kahta hun bar bar samajhta nahin koi
bahra ho dil to baat pe israr kya kare
juz tegh dard-e-jaan ka nahin koi shai ‘ilaj
KHali hai hath dida-e-KHun-bar kya kare
har falsafe se shauq hai aazad sar-ba-sar
iqrar kya kare yahan inkar kya kare
uljhe hue hain kitne tamanna ke silsile
ai KHaliq-e-hayat gunahgar kya kare
rah-e-nabi mein bachche jawan-pir sab gae
KHeme mein tanha aabid-e-bimar kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.