Khaali hain jitne jam wo bhar jaane dijiye
ḳhālī haiñ jitne jaam vo bhar jaane dījiye
tishna-labī kā daur guzar jaane dījiye
phir chheḌiyegā aap bhī vā’da-shikan kī baat
dil kā har ek zaḳhm to bhar jaane dījiye
us kī masāfatoñ kī huiiñ manzileñ tamām
niklā huā hai sub.h kā ghar jaane dījiye
josh-e-junūñ meñ shauq se patthar uThā.iye
'aql-o-ḳhirad ko had se guzar jaane dījiye
vā'de pe jiite jiite hī 'umreñ guzar ga.iiñ
tūl-e-shab-e-firāq kā Dar jaane dījiye
jis meñ surūr hai na harārat na valvala
behtar hai aise jiine se mar jaane dījiye
zehnoñ pe ban ke bojh na rah jaa.e zindagī
āñkhoñ meñ ban ke ḳhvāb bikhar jaane dījiye
yādoñ ke saare zaḳhm na ho jaa.eñ mundamil
'bismil' koī to zaḳhm ubhar jaane dījiye
KHali hain jitne jam wo bhar jaane dijiye
tishna-labi ka daur guzar jaane dijiye
phir chheDiyega aap bhi wa’da-shikan ki baat
dil ka har ek zaKHm to bhar jaane dijiye
us ki masafaton ki huin manzilen tamam
nikla hua hai subh ka ghar jaane dijiye
josh-e-junun mein shauq se patthar uThaiye
'aql-o-KHirad ko had se guzar jaane dijiye
wa'de pe jite jite hi 'umren guzar gain
tul-e-shab-e-firaq ka Dar jaane dijiye
jis mein surur hai na hararat na walwala
behtar hai aise jine se mar jaane dijiye
zehnon pe ban ke bojh na rah jae zindagi
aankhon mein ban ke KHwab bikhar jaane dijiye
yaadon ke sare zaKHm na ho jaen mundamil
'bismil' koi to zaKHm ubhar jaane dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.