Khaali-uz-zehn hun yaadon ko sada di jae
ḳhālī-uz-zehn huuñ yādoñ ko sadā dī jaa.e
rāsta saaf hai kuchh gard uḌā dī jaa.e
aaj kā din bhī dar-o-bām ko takte guzrā
aaj kī raat bhī āñkhoñ meñ gañvā dī jaa.e
abhī mahfil meñ nazar aate haiñ nādim chehre
lau charāġhoñ kī zarā aur ghaTā dī jaa.e
vahī darvāza vahī ghar vahī maiñ huuñ lekin
kaun rahtā hai yahāñ kis ko sadā dī jaa.e
raat ke saath huā ḳhatm sitāroñ kā safar
apne ashkoñ kī bhī ab sham.a bujhā dī jaa.e
kyā ajab shaḳhs thā jis ne mujhe ye zehn diyā
yaad rakhne kī har ik baat bhulā dī jaa.e
saarā māhaul pur-asrār hai 'az.har' sāhab
shahr-e-iḳhlās meñ ab kis ko sadā dī jaa.e
KHali-uz-zehn hun yaadon ko sada di jae
rasta saf hai kuchh gard uDa di jae
aaj ka din bhi dar-o-baam ko takte guzra
aaj ki raat bhi aankhon mein ganwa di jae
abhi mahfil mein nazar aate hain nadim chehre
lau charaghon ki zara aur ghaTa di jae
wahi darwaza wahi ghar wahi main hun lekin
kaun rahta hai yahan kis ko sada di jae
raat ke sath hua KHatm sitaron ka safar
apne ashkon ki bhi ab shama bujha di jae
kya ajab shaKHs tha jis ne mujhe ye zehn diya
yaad rakhne ki har ek baat bhula di jae
sara mahaul pur-asrar hai 'azhar' sahab
shahr-e-iKHlas mein ab kis ko sada di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.