Khaaliq ho KHuda-e-sahar-o-sham hamara
Khaaliq ho KHuda-e-sahar-o-sham hamara
Nawab Shahjahan Begum Shahjahan
MORE BYNawab Shahjahan Begum Shahjahan
ḳhāliq ho ḳhudā-e-sahar-o-shām hamārā
mash.hūr usī ne ye kiyā naam hamārā
aatī hai havā sard ghaTā uThtī hai ghanghor
mañgvāo surāhī-o-mai-o-jām hamārā
betābī-e-dil un ke bhī dil meñ tū asar kar
muddat se yahī tujh se hai paiġhām hamārā
ham karte haiñ haj kūcha-e-dildār kā apne
hai chādar-e-tan jāma-e-ahrām hamārā
furqat meñ tirī saath diyā apnā isī ne
kaam aayā bahut ye dil-e-nākām hamārā
kāfir kiyā mujh ko tirī is zulf ne kāfir
is laam ne khoyā tire islām hamārā
duniyā meñ baḌā shor hai shakkar-shiknī kā
'shīrīñ' jo taḳhallus meñ huā naam hamārā
KHaliq ho KHuda-e-sahar-o-sham hamara
mashhur usi ne ye kiya nam hamara
aati hai hawa sard ghaTa uThti hai ghanghor
mangwao surahi-o-mai-o-jam hamara
betabi-e-dil un ke bhi dil mein tu asar kar
muddat se yahi tujh se hai paigham hamara
hum karte hain haj kucha-e-dildar ka apne
hai chadar-e-tan jama-e-ahram hamara
furqat mein teri sath diya apna isi ne
kaam aaya bahut ye dil-e-nakaam hamara
kafir kiya mujh ko teri is zulf ne kafir
is lam ne khoya tere islam hamara
duniya mein baDa shor hai shakkar-shikni ka
'shirin' jo taKHallus mein hua nam hamara
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 77)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.