KHami-e-ishq hai izhaar-e-tamanna karna
ḳhāmī-e-ishq hai iz.hār-e-tamannā karnā
ai dil-e-zār na bhūle se bhī aisā karnā
ban paḌe kuchh na mohabbat meñ agar ai dil-e-zār
tujh ko lāzim hai asar aah meñ paidā karnā
ab ba-juz is ke nahīñ aur koī shaġhl pasand
aa gayā jab se unheñ ḳhūn-e-tamannā karnā
tum jo chāho to karam aaj bhī ho saktā hai
kuchh zarūrī to nahīñ va.ada-e-fardā karnā
ham ne ghar jalte hue dekhe haiñ is kī lau se
ishq kī sham.a se dil meñ na ujālā karnā
ek do sajde meñ kuchh maañg ḳhudā se zāhid
zeb detā nahīñ har roz taqāzā karnā
ik taraf ishq pe ilzām zamāne bhar ke
ik taraf shart ye rakh dī ki na lab vā karnā
dekh ai husn bharam is kā hai qaa.em ham se
har kisī se na kaheñ va.ada-e-fardā karnā
ye bhī kam-mā.egī-e-zarf hai āḳhir 'sāhir'
raaz maiḳhāne kā har bazm meñ rusvā karnā
KHami-e-ishq hai izhaar-e-tamanna karna
ai dil-e-zar na bhule se bhi aisa karna
ban paDe kuchh na mohabbat mein agar ai dil-e-zar
tujh ko lazim hai asar aah mein paida karna
ab ba-juz is ke nahin aur koi shaghl pasand
aa gaya jab se unhen KHun-e-tamanna karna
tum jo chaho to karam aaj bhi ho sakta hai
kuchh zaruri to nahin wada-e-farda karna
hum ne ghar jalte hue dekhe hain is ki lau se
ishq ki shama se dil mein na ujala karna
ek do sajde mein kuchh mang KHuda se zahid
zeb deta nahin har roz taqaza karna
ek taraf ishq pe ilzam zamane bhar ke
ek taraf shart ye rakh di ki na lab wa karna
dekh ai husn bharam is ka hai qaem hum se
har kisi se na kahen wada-e-farda karna
ye bhi kam-maegi-e-zarf hai aaKHir 'sahir'
raaz maiKHane ka har bazm mein ruswa karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.