KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain
KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain
Jalaluddin Akbar
MORE BYJalaluddin Akbar
ḳhāmosh haiñ lab aur āñkhoñ se aañsū haiñ ki paiham bahte haiñ
ham sāmne un ke baiThe haiñ aur qissa-e-furqat kahte haiñ
ab husn-o-ishq meñ farq nahīñ ab donoñ kī ik hālat hai
maiñ un ko dekhtā rahtā huuñ vo mujh ko dekhte rahte haiñ
un kī vo hayā vo ḳhāmoshī apnī vo mohabbat kī nazreñ
vo sunñe ko sab kuchh sunte haiñ ham kahne ko sab kuchh kahte haiñ
is shauq-e-farāvāñ kī yārab āḳhir koī had bhī hai ki nahīñ
inkār kareñ vo yā va.ada ham rāsta dekhte rahte haiñ
hamdard nahīñ hamrāz nahīñ kis se kahiye kyuuñ kar kahiye
jo dil pe guzartī rahtī hai jo jaan pe sadme sahte haiñ
aa dekh ki zālim furqat meñ kyā haal mirā behāl huā
aahoñ se sharāre jhaḌte haiñ āñkhoñ se dariyā bahte haiñ
'akbar' shāyad dil kho baiThe vo jalse vo ahbāb nahīñ
tanhā ḳhāmosh se phirte haiñ har vaqt udaas se rahte haiñ
KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain
hum samne un ke baiThe hain aur qissa-e-furqat kahte hain
ab husn-o-ishq mein farq nahin ab donon ki ek haalat hai
main un ko dekhta rahta hun wo mujh ko dekhte rahte hain
un ki wo haya wo KHamoshi apni wo mohabbat ki nazren
wo sunne ko sab kuchh sunte hain hum kahne ko sab kuchh kahte hain
is shauq-e-farawan ki yarab aaKHir koi had bhi hai ki nahin
inkar karen wo ya wada hum rasta dekhte rahte hain
hamdard nahin hamraaz nahin kis se kahiye kyun kar kahiye
jo dil pe guzarti rahti hai jo jaan pe sadme sahte hain
aa dekh ki zalim furqat mein kya haal mera behaal hua
aahon se sharare jhaDte hain aankhon se dariya bahte hain
'akbar' shayad dil kho baiThe wo jalse wo ahbab nahin
tanha KHamosh se phirte hain har waqt udas se rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.