KHamosh nigahon se wo yalghaar ka hona
Interesting Fact
(Tahreer-e-Nau, June 2009)
ḳhāmosh nigāhoñ se vo yalġhār kā honā
miltā hai nafī meñ kisī iqrār kā honā
mahfūz mire ḳhvāb ko batlātā nahīñ hai
ik aks-e-taraddud meñ nigah-dār kā honā
hairat meñ nahīñ Dāltā ab shahr-e-gumāñ ko
har roz lahū-rañg meñ aḳhbār kā honā
āsār-e-ta.alluq ko jalā detā hai aksar
gumnām kisī dard meñ ġham-ḳhvār kā honā
raste ke takalluf se chalo baat kareñ kuchh
mumkin nahīñ har moḌ pe ghar-bār kā honā
lamhoñ ke ishāroñ se ayaañ hone lagā hai
galiyoñ meñ mire yaar kī aġhyār kā honā
kartā hai bahut yaad shab-o-roz mirā dil
phūloñ ke nagar meñ rah-e-pur-ḳhār kā honā
aqlīm-e-jafā-kesh meñ tum dekhnā 'ja.afar'
lāzim hai pas-e-dar kisī dīvār kā honā
KHamosh nigahon se wo yalghaar ka hona
milta hai nafi mein kisi iqrar ka hona
mahfuz mere KHwab ko batlata nahin hai
ek aks-e-taraddud mein nigah-dar ka hona
hairat mein nahin Dalta ab shahr-e-guman ko
har roz lahu-rang mein aKHbar ka hona
aasar-e-talluq ko jala deta hai aksar
gumnam kisi dard mein gham-KHwar ka hona
raste ke takalluf se chalo baat karen kuchh
mumkin nahin har moD pe ghar-bar ka hona
lamhon ke ishaaron se ayan hone laga hai
galiyon mein mere yar ki aghyar ka hona
karta hai bahut yaad shab-o-roz mera dil
phulon ke nagar mein rah-e-pur-KHar ka hona
aqlim-e-jafa-kesh mein tum dekhna 'jafar'
lazim hai pas-e-dar kisi diwar ka hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.