KHamosh sadaon se na paigham se aaya
ḳhāmosh sadāoñ se na paiġhām se aayā
vo husn mire paas kisī kaam se aayā
aayā to nazar aayā mujhe ḳhār-e-zarūrat
haa.e vo gul-e-ḳhās rah-e-ām se aayā
jab raat Dhalī yaad jigar chiir ke guzrī
vaise to ḳhayāl us kā mujhe shaam se aayā
āñchal se ubhar aa.e haiñ joban ke ḳham-o-pech
is sher meñ iblāġh bhī ib.hām se aayā
ye phuul mire qurb ke mausam ne khilā.e
ye rang tire ruḳh pe mire naam se aayā
taktā huuñ imārat kī falak-bos imārat
iflās mire ghar meñ usī baam se aayā
shohrat jo milī tujh ko bure kaam ne dī hai
jo naam tire paas hai dushnām se aayā
khaTke se khaTak jaa.e na dildār so 'nayyar'
ārām-gah-e-husn meñ ārām se aayā
KHamosh sadaon se na paigham se aaya
wo husn mere pas kisi kaam se aaya
aaya to nazar aaya mujhe KHar-e-zarurat
hae wo gul-e-KHas rah-e-am se aaya
jab raat Dhali yaad jigar chir ke guzri
waise to KHayal us ka mujhe sham se aaya
aanchal se ubhar aae hain joban ke KHam-o-pech
is sher mein iblagh bhi ibham se aaya
ye phul mere qurb ke mausam ne khilae
ye rang tere ruKH pe mere nam se aaya
takta hun imarat ki falak-bos imarat
iflas mere ghar mein usi baam se aaya
shohrat jo mili tujh ko bure kaam ne di hai
jo nam tere pas hai dushnam se aaya
khaTke se khaTak jae na dildar so 'nayyar'
aaram-gah-e-husn mein aaram se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.