KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
ḳhāmosh the tum aur boltā thā bas ek sitāra āñkhoñ meñ
maiñ kaise na ruktā chalne lagā jab surḳh ishāra āñkhoñ meñ
manzar meñ kināroñ se bāhar dariyā-e-mohabbat bahtā hai
aur pas-manzar meñ niile se āñchal kā kinārā āñkhoñ meñ
har saal bahār se pahle maiñ paanī par phuul banātā huuñ
phir chāroñ mausam likh jaate haiñ naam tumhārā āñkhoñ meñ
ab kahne vaale kahte haiñ is shahr meñ raat nahīñ hotī
ik aisā hī din thā vo chehra jab maiñ ne utārā āñkhoñ meñ
sochā hai tumhārī āñkhoñ se ab maiñ un ko milvā hī duuñ
kuchh ḳhvāb jo DhūñDte phirte haiñ jiine kā sahārā āñkhoñ meñ
KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
main kaise na rukta chalne laga jab surKH ishaara aankhon mein
manzar mein kinaron se bahar dariya-e-mohabbat bahta hai
aur pas-manzar mein nile se aanchal ka kinara aankhon mein
har sal bahaar se pahle main pani par phul banata hun
phir chaaron mausam likh jate hain nam tumhaara aankhon mein
ab kahne wale kahte hain is shahr mein raat nahin hoti
ek aisa hi din tha wo chehra jab main ne utara aankhon mein
socha hai tumhaari aankhon se ab main un ko milwa hi dun
kuchh KHwab jo DhunDte phirte hain jine ka sahaara aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.