Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai

Azhar Hashmi Sabqat

KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai

Azhar Hashmi Sabqat

ḳhāmosh zabāñ se jab taqrīr nikaltī hai

lagtā hai ki pairoñ se zanjīr nikaltī hai

TuuTā huā badhnā thā shāyad ki vuzū ho

aisī bhī to purkhoñ jāgīr nikaltī hai

jo daaġh hai sajde peshānī-e-momin par

us daaġh se ho kar taqdīr nikaltī hai

miltī hai ḳhushī sab ko jaise kahīñ se bhī

bhūlī hui bachpan tasvīr nikaltī hai

majrūh qalam ko jab har lafz duā de deñ

umr qalam se phir tahrīr nikaltī hai

ho amn yahāñ ham meñ sochā thā magar 'az.har'

dekhā to har ik ghar se shamshīr nikaltī hai

KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai

lagta hai ki pairon se zanjir nikalti hai

TuTa hua badhna tha shayad ki wuzu ka ho

aisi bhi to purkhon ki jagir nikalti hai

jo dagh hai sajde ka peshani-e-momin par

us dagh se ho kar hi taqdir nikalti hai

milti hai KHushi sab ko jaise hi kahin se bhi

bhuli hui bachpan ki taswir nikalti hai

majruh qalam ko jab har lafz dua de den

ta umr qalam se phir tahrir nikalti hai

ho amn yahan hum mein socha tha magar 'azhar'

dekha to har ek ghar se shamshir nikalti hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now