KHamosh zamzame hain mera harf-e-zar chup
ḳhāmosh zamzame haiñ mirā harf-e-zār chup
har iḳhtiyār chup hai har ik e.atibār chup
bād-e-sumūm darpai āzār dekh kar
sakte meñ be-qarār hai bād-e-bahār chup
manzar nahīñ haiñ bolte sahrā udaas hai
pathrā ga.ī hai aañkh dil-e-dāġhdār chup
jo kuchh bhī ho rahā hai ye maqsūm to nahīñ
bas tujh ko khā ga.ī hai tirī sogvār chup
har ek ko huuñ gosh-bar-āvāz dekhtā
oḌhe hue hoñ jab se maiñ ik bā-vaqār chup
harf-e-duā na dast-e-talab dar pe aan kar
lab par faqat hai raqs meñ ik dil-figār chup
KHamosh zamzame hain mera harf-e-zar chup
har iKHtiyar chup hai har ek eatibar chup
baad-e-sumum darpai aazar dekh kar
sakte mein be-qarar hai baad-e-bahaar chup
manzar nahin hain bolte sahra udas hai
pathra gai hai aankh dil-e-daghdar chup
jo kuchh bhi ho raha hai ye maqsum to nahin
bas tujh ko kha gai hai teri sogwar chup
har ek ko hun gosh-bar-awaz dekhta
oDhe hue hon jab se main ek ba-waqar chup
harf-e-dua na dast-e-talab dar pe aan kar
lab par faqat hai raqs mein ek dil-figar chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.