KHamoshi ka sahra hun
ḳhāmoshī kā sahrā huuñ
is duniyā meñ tanhā huuñ
mujh ko bhī ma.alūm nahīñ
kaisī bāteñ kartā huuñ
yaar aziyyat lagtī hai
ashk bahātā rastā huuñ
yādoñ kī ik buuñd huuñ maiñ
aur āñkhoñ meñ rahtā huuñ
dar ḳhud hī khul jaatā hai
maiñ kab dastak detā huuñ
tujh ko bhī kuchh jaldī hai
maiñ bhī jaane vaalā huuñ
yaad karo ābād karo
terā guzrā lamha huuñ
tohmat kā dar baaz huā
ya.anī maiñ bhī sachchā huuñ
phir se merā haath pakaḌ
ya.anī girne vaalā huuñ
āñkheñ surḳh to hoñgī 'umar'
ḳhvāboñ kā rakhvālā huuñ
KHamoshi ka sahra hun
is duniya mein tanha hun
mujh ko bhi malum nahin
kaisi baaten karta hun
yar aziyyat lagti hai
ashk bahata rasta hun
yaadon ki ek bund hun main
aur aankhon mein rahta hun
dar KHud hi khul jata hai
main kab dastak deta hun
tujh ko bhi kuchh jaldi hai
main bhi jaane wala hun
yaad karo aabaad karo
tera guzra lamha hun
tohmat ka dar baz hua
yani main bhi sachcha hun
phir se mera hath pakaD
yani girne wala hun
aankhen surKH to hongi 'umar'
KHwabon ka rakhwala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.