KHamoshi kalam ho gai hai
ḳhāmoshī kalām ho ga.ī hai
kyā husn-e-payām ho ga.ī hai
ab chhoḌ do tazkira vafā kā
ye baat bhī aam ho ga.ī hai
yaad aa.ī sahar ko raat kī baat
ik aan meñ shaam ho ga.ī hai
ab pūchh na chashm-e-shauq kā haal
TuuTā huā jaam ho ga.ī hai
jis shai pe paḌī haiñ terī nazreñ
kyā ālī-maqām ho ga.ī hai
laa.ī hai nasīm kis kā paiġhām
kyuuñ tez-ḳhirām ho ga.ī hai
KHamoshi kalam ho gai hai
kya husn-e-payam ho gai hai
ab chhoD do tazkira wafa ka
ye baat bhi aam ho gai hai
yaad aai sahar ko raat ki baat
ek aan mein sham ho gai hai
ab puchh na chashm-e-shauq ka haal
TuTa hua jam ho gai hai
jis shai pe paDi hain teri nazren
kya aali-maqam ho gai hai
lai hai nasim kis ka paigham
kyun tez-KHiram ho gai hai
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 181)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.