KHamoshi ke dar-parda mahsus kiya
ḳhāmoshī ke dar-parda mahsūs kiyā
terī āñkhoñ ko apnā jāsūs kiyā
ham par to ik ishq kī aafat utrī thī
dīvār-o-dar ko kis ne manhūs kiyā
chaukhaT par baiThā hai kis ḳhāmoshī se
darvāze ko dastak ne mānūs kiyā
tere hijr kā chāqū yuuñ to kaarī thā
lekin zaḳhmoñ ne kitnā māyūs kiyā
tū ne ḳhat meñ phuul banā kar bhejā thā
maiñ ne muddat ḳhushbū ko mahsūs kiyā
ḳhvāb ke sikke kitne kam haiñ kaase meñ
niiñd ko kis ne is had tak kanjūs kiyā
KHamoshi ke dar-parda mahsus kiya
teri aankhon ko apna jasus kiya
hum par to ek ishq ki aafat utri thi
diwar-o-dar ko kis ne manhus kiya
chaukhaT par baiTha hai kis KHamoshi se
darwaze ko dastak ne manus kiya
tere hijr ka chaqu yun to kari tha
lekin zaKHmon ne kitna mayus kiya
tu ne KHat mein phul bana kar bheja tha
main ne muddat KHushbu ko mahsus kiya
KHwab ke sikke kitne kam hain kase mein
nind ko kis ne is had tak kanjus kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.