ḳhāmoshī kī dhun pe tanhā raqs kartī raat hai
zaḳhm khaa.e dil ke siine meñ utartī raat hai
sahrā sahrā pyaas ke manzar se ho kar rū-ba-rū
ab kisī āshiq ke hoñToñ se ubhartī raat hai
phuul sūraj raushnī se duur shabnam kī taraf
din Dhale tāroñ ke darpan meñ sañvartī raat hai
Tiis gahrī aur yādoñ kā utartā qāfila
pyaar ke dozaḳh se sahmī aur katartī raat hai
kuchh siyah tasvīr maazī ke ḳhayāloñ kā dhuāñ
sab meñ apne dard kā kuchh aks bhartī raat hai
yuuñ kahūñ to ek laḌkā us ko pyārā hai bahut
log 'tejas' ye bhī kahte us pe martī raat hai
KHamoshi ki dhun pe tanha raqs karti raat hai
zaKHm khae dil ke sine mein utarti raat hai
sahra sahra pyas ke manzar se ho kar ru-ba-ru
ab kisi aashiq ke honTon se ubharti raat hai
phul suraj raushni se dur shabnam ki taraf
din Dhale taron ke darpan mein sanwarti raat hai
Tis gahri aur yaadon ka utarta qafila
pyar ke dozaKH se sahmi aur katarti raat hai
kuchh siyah taswir mazi ke KHayalon ka dhuan
sab mein apne dard ka kuchh aks bharti raat hai
yun kahun to ek laDka us ko pyara hai bahut
log 'tejas' ye bhi kahte us pe marti raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.