KHamoshi tak to ek sada le gai mujhe
ḳhāmoshī tak to ek sadā le ga.ī mujhe
phir us se aage tab-e-rasā le ga.ī mujhe
kyā aañkh thī ki mauj-e-baqā kī tarah milī
kyā mauj thī ki misl-e-fanā le ga.ī mujhe
miTTī ko chuum lene kī hasrat hī rah ga.ī
TuuTā jo shāḳh se to havā le ga.ī mujhe
dasht-e-junūñ se aa.ī thī bastī meñ bād-e-shauq
lauTī to apne saath bahā le ga.ī mujhe
ai jur.at-e-farār tirā shukriya ki tū
rishtoñ ke pech-o-ḳham se bachā le ga.ī mujhe
KHamoshi tak to ek sada le gai mujhe
phir us se aage tab-e-rasa le gai mujhe
kya aankh thi ki mauj-e-baqa ki tarah mili
kya mauj thi ki misl-e-fana le gai mujhe
miTTi ko chum lene ki hasrat hi rah gai
TuTa jo shaKH se to hawa le gai mujhe
dasht-e-junun se aai thi basti mein baad-e-shauq
lauTi to apne sath baha le gai mujhe
ai jurat-e-farar tera shukriya ki tu
rishton ke pech-o-KHam se bacha le gai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.