KHamushi bais-e-ruswai nahin hoti hai
ḳhāmushī bā.is-e-rusvā.ī nahīñ hotī hai
mustaqil bolnā dānā.ī nahīñ hotī hai
har jagah dil ke phaphūle nahīñ phoḌā karte
har jagah zaḳhm pe turpāī nahīñ hotī hai
ham ġharīboñ ke nivāloñ pe asar paḌtā hai
har kisī ke liye mahñgā.ī nahīñ hotī hai
vaqt aane pe badal jaate haiñ rishte kitne
ek maañ hai ki jo harjā.ī nahīñ hotī hai
is liye rah ga.e ahbāb se pīchhe 'ashraf'
ham se ye qāfiya-paimā.ī nahīñ hotī hai
KHamushi bais-e-ruswai nahin hoti hai
mustaqil bolna danai nahin hoti hai
har jagah dil ke phaphule nahin phoDa karte
har jagah zaKHm pe turpai nahin hoti hai
hum gharibon ke niwalon pe asar paDta hai
har kisi ke liye mahngai nahin hoti hai
waqt aane pe badal jate hain rishte kitne
ek man hai ki jo harjai nahin hoti hai
is liye rah gae ahbab se pichhe 'ashraf'
hum se ye qafiya-paimai nahin hoti hai
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.