KHamushi-e-dil kisi shab itna Dar jaenge hum
ḳhāmushī-e-dil kisī shab itnā Dar jā.eñge ham
chauñk kar ik saañs kī aahaT se mar jā.eñge ham
āsmāñ sūraj nikal aa.e bas itnā sabr kar
saath kirnoñ ke zamīñ par phir utar jā.eñge ham
ḳhushk hoñThoñ ne bulāyā hai hameñ darbār meñ
saath le ke apne nazr-e-chashm-e-tar jā.eñge ham
sochtī rah jā.egī duniyā ise kyā naam duuñ
zindagī tujh meñ ik aisā rang bhar jā.eñge ham
ab nahīñ baiThā kareñge bus meñ khiḌkī kī taraf
terī bastī ko binā dekhe guzar jā.eñge ham
ye jahāñ niklā tavaqqo' se ziyāda muḳhtasar
alvidā' ai dosto ab apne ghar jā.eñge ham
KHamushi-e-dil kisi shab itna Dar jaenge hum
chaunk kar ek sans ki aahaT se mar jaenge hum
aasman suraj nikal aae bas itna sabr kar
sath kirnon ke zamin par phir utar jaenge hum
KHushk honThon ne bulaya hai hamein darbar mein
sath le ke apne nazr-e-chashm-e-tar jaenge hum
sochti rah jaegi duniya ise kya nam dun
zindagi tujh mein ek aisa rang bhar jaenge hum
ab nahin baiTha karenge bus mein khiDki ki taraf
teri basti ko bina dekhe guzar jaenge hum
ye jahan nikla tawaqqo' se ziyaada muKHtasar
alwida' ai dosto ab apne ghar jaenge hum
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 121)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.