KHamushi ijtinab se pahle
ḳhāmushī ijtināb se pahle
ik sitam āftāb se pahle
itnī jaldī abhī kahāñ piirī
gunah kar luuñ savāb se pahle
us hasīñ chashm ke tasavvur se
nashsha aayā sharāb se pahle
din Dhale aa ga.e vo mere ghar
dekhī ta.abīr ḳhvāb se pahle
itnā bojhal thakā huā māhaul
hai sukūñ inqalāb se pahle
fitne uTThe magar 'habīb' kahāñ
un ke ahd-e-shabāb se pahle
KHamushi ijtinab se pahle
ek sitam aaftab se pahle
itni jaldi abhi kahan piri
gunah kar lun sawab se pahle
us hasin chashm ke tasawwur se
nashsha aaya sharab se pahle
din Dhale aa gae wo mere ghar
dekhi tabir KHwab se pahle
itna bojhal thaka hua mahaul
hai sukun inqalab se pahle
fitne uTThe magar 'habib' kahan
un ke ahd-e-shabab se pahle
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 118)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.