KHamushi iltifat hai shayad
Interesting Fact
(Ghazal Mushaira Shams-ur-Rehman Farooqi, IPS, October 25, 1964)
ḳhāmushī iltifāt hai shāyad
ek mohmal sī baat hai shāyad
dard-e-dil hī barāt hai shāyad
husn kī ye zakāt hai shāyad
zindagī do adam kī barzaḳh hai
is liye be-sabāt hai shāyad
zindagī maut se ibārat hai
maut sharh-e-hayāt hai shāyad
kitne vīrāne ho ga.e ābād
aap kā iltifāt hai shāyad
kuchh nahīñ sochtā javānī meñ
ye bhī tārīk raat hai shāyad
kahte kahte jo ho ga.e ḳhāmosh
raaz kī koī baat hai shāyad
is yaqīñ par kalīm haiñ behosh
jalva-e-husn-e-zāt hai shāyad
dil kī taskīn ruuh kī rāhat
aah vaj.h-e-hayāt hai shāyad
aañkh ke til ke ek zarre meñ
simTī kul kā.enāt hai shāyad
tishna-kāmī-e-karbalā hai ishq
husn āb-e-furāt hai shāyad
'sho.ala' is dil meñ Tiis uThtī hai
aap kā iltifāt hai shāyad
KHamushi iltifat hai shayad
ek mohmal si baat hai shayad
dard-e-dil hi baraat hai shayad
husn ki ye zakat hai shayad
zindagi do adam ki barzaKH hai
is liye be-sabaat hai shayad
zindagi maut se ibarat hai
maut sharh-e-hayat hai shayad
kitne virane ho gae aabaad
aap ka iltifat hai shayad
kuchh nahin sochta jawani mein
ye bhi tarik raat hai shayad
kahte kahte jo ho gae KHamosh
raaz ki koi baat hai shayad
is yaqin par kalim hain behosh
jalwa-e-husn-e-zat hai shayad
dil ki taskin ruh ki rahat
aah wajh-e-hayat hai shayad
aankh ke til ke ek zarre mein
simTi kul kaenat hai shayad
tishna-kaami-e-karbala hai ishq
husn aab-e-furaat hai shayad
'shoala' is dil mein Tis uThti hai
aap ka iltifat hai shayad
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 59)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.