KHamushi jis dam faza mein raqs farmane lagi
ḳhāmushī jis dam fazā meñ raqs farmāne lagī
phuul par shabnam ke girne kī sadā aane lagī
mahv-e-hairat hai nigāh-e-shauq bhī ye dekh kar
un ke sar pe dhuup aa.ī aur ghaTā chhāne lagī
garmi-e-lab kī zarūrat jab paḌī ruḳhsār ko
chashm-e-pur-nam hasratoñ kī aag barsāne lagī
rakh diye taqdīr ke saare sitāre toḌ kar
jab haqīqat aa.ina qismat ko dikhlāne lagī
ratjagoñ ke dasht-e-vahshat meñ bhaTaktī rah ga.ī
niiñd bhī āñkhoñ ke dar pe aa ke pachhtāne lagī
is qadar tārīkiyāñ haiñ raushnī ke ruup meñ
tīrgī tīra-sifat hone pe sharmāne lagī
umr bhar kartī rahī manzil hamārī justujū
jab nazar ke sāmne aa.ī to katrāne lagī
din bhī saare ek jaise raat bhī yaksāñ 'shakīl'
is tarah jiine se ab to ziist uktāne laggī
KHamushi jis dam faza mein raqs farmane lagi
phul par shabnam ke girne ki sada aane lagi
mahw-e-hairat hai nigah-e-shauq bhi ye dekh kar
un ke sar pe dhup aai aur ghaTa chhane lagi
garmi-e-lab ki zarurat jab paDi ruKHsar ko
chashm-e-pur-nam hasraton ki aag barsane lagi
rakh diye taqdir ke sare sitare toD kar
jab haqiqat aaina qismat ko dikhlane lagi
ratjagon ke dasht-e-wahshat mein bhaTakti rah gai
nind bhi aankhon ke dar pe aa ke pachhtane lagi
is qadar tarikiyan hain raushni ke rup mein
tirgi tira-sifat hone pe sharmane lagi
umr bhar karti rahi manzil hamari justuju
jab nazar ke samne aai to katrane lagi
din bhi sare ek jaise raat bhi yaksan 'shakil'
is tarah jine se ab to zist uktane laggi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.