KHamushi kis ki zabani ho gae
ḳhāmushī kis kī zabānī ho ga.e
kyuuñ nadāmat kī nishānī ho ga.e
ik nazar Daalī bharī mahfil meñ jab
rañg mere āsmānī ho ga.e
āḳhirash rishta nā qaa.em ho sakā
ḳhvāb jo dekhe kahānī ho ga.e
sach kahā tū ne ki tere haiñ magar
lafz saare be-ma.ānī ho ga.e
zikr terā ho sakā ham se nahīñ
ġhair terī zindagānī ho ga.e
KHamushi kis ki zabani ho gae
kyun nadamat ki nishani ho gae
ek nazar Dali bhari mahfil mein jab
rang mere aasmani ho gae
aaKHirash rishta na qaem ho saka
KHwab jo dekhe kahani ho gae
sach kaha tu ne ki tere hain magar
lafz sare be-maani ho gae
zikr tera ho saka hum se nahin
ghair teri zindagani ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.