KHamushi mein kabhi sadaon mein
ḳhāmushī meñ kabhī sadāoñ meñ
kho ga.ī ajnabī fazāoñ meñ
na safar hai na hai sukūn mujhe
kaisī gardish hai mere paañv meñ
chīḳhtī hai ye tīrgī shab kī
chāñd ḳhāmosh hai ghaTāoñ meñ
kyā hai jo ḳhaak par nahīñ maujūd
DhūñDte haiñ kise ḳhalāoñ meñ
saañs lete hue bhī Dartī huuñ
kis qadar zahr hai havāoñ meñ
ai ġham-e-hijr baḳhshne vaale
yaad rakhnā hameñ du'āoñ meñ
dil pareshāñ hai is tarah 'tārā'
ho ga.ī marg jaise gaañv meñ
KHamushi mein kabhi sadaon mein
kho gai ajnabi fazaon mein
na safar hai na hai sukun mujhe
kaisi gardish hai mere panw mein
chiKHti hai ye tirgi shab ki
chand KHamosh hai ghaTaon mein
kya hai jo KHak par nahin maujud
DhunDte hain kise KHalaon mein
sans lete hue bhi Darti hun
kis qadar zahr hai hawaon mein
ai gham-e-hijr baKHshne wale
yaad rakhna hamein du'aon mein
dil pareshan hai is tarah 'tara'
ho gai marg jaise ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.