KHamushi rakkhi to chahat baDh gai
ḳhāmushī rakkhī to chāhat baḌh ga.ī
merī chup se us kī himmat baḌh ga.ī
jab talak tanhā thā ghar meñ shaad thā
bazm meñ aayā to vahshat baḌh ga.ī
apnī badnāmī se zālim shaad hai
ho gayā rusvā to shohrat baḌh ga.ī
thā ye ḳhud-ġharzī kā ik radd-e-amal
mere lahje kī baġhāvat baḌh ga.ī
mere ḳhat par us kā aañsū gir gayā
baat chhoTī thī ibārat baḌh ga.ī
KHamushi rakkhi to chahat baDh gai
meri chup se us ki himmat baDh gai
jab talak tanha tha ghar mein shad tha
bazm mein aaya to wahshat baDh gai
apni badnami se zalim shad hai
ho gaya ruswa to shohrat baDh gai
tha ye KHud-gharzi ka ek radd-e-amal
mere lahje ki baghawat baDh gai
mere KHat par us ka aansu gir gaya
baat chhoTi thi ibarat baDh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.