KHamushi se kaho zara KHamosh
ḳhāmushī se kaho zarā ḳhāmosh
sun rahā hai mirā ḳhudā ḳhāmosh
ek maiñ hī thā bolne vaalā
vo bhī tū ne karā diyā ḳhāmosh
kar rahī thī kalām ḳhāmoshī
is liye honā paḌ gayā ḳhāmosh
maiñ ne dekhā hai log hote haiñ
us se kar ke mukālima ḳhāmosh
zindagī kī yahī kahānī hai
ibtidā shor intihā ḳhāmosh
guftugū karnī thī mujhe lekin
maiñ tirī bazm se uThā ḳhāmosh
karb hī karb sah rahā huuñ maiñ
paañv zanjīr rāsta ḳhāmosh
KHamushi se kaho zara KHamosh
sun raha hai mera KHuda KHamosh
ek main hi tha bolne wala
wo bhi tu ne kara diya KHamosh
kar rahi thi kalam KHamoshi
is liye hona paD gaya KHamosh
main ne dekha hai log hote hain
us se kar ke mukalima KHamosh
zindagi ki yahi kahani hai
ibtida shor intiha KHamosh
guftugu karni thi mujhe lekin
main teri bazm se uTha KHamosh
karb hi karb sah raha hun main
panw zanjir rasta KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.