KHamushi se sawal mera tha
ḳhāmushī se savāl merā thā
mujh se pahle zavāl merā thā
vaqt kā dhyān aayā thā us ko
mausamoñ kā ḳhayāl merā thā
ma.anī-dar-ma.anī us kī thī parvāz
lafz-dar-lafz jaal merā thā
ghar ke bāhar thī car daftar kī
ghar ke andar kā haal merā thā
ai 'tasavvur' na yaad aayā kabhī
sher jo hasb-e-hāl merā thā
KHamushi se sawal mera tha
mujh se pahle zawal mera tha
waqt ka dhyan aaya tha us ko
mausamon ka KHayal mera tha
mani-dar-mani us ki thi parwaz
lafz-dar-lafz jal mera tha
ghar ke bahar thi car daftar ki
ghar ke andar ka haal mera tha
ai 'tasawwur' na yaad aaya kabhi
sher jo hasb-e-haal mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.