KHana-e-dil kaba hai ye koi but-KHana nahin
KHana-e-dil kaba hai ye koi but-KHana nahin
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
ḳhāna-e-dil ka.aba hai ye koī but-ḳhāna nahīñ
be-dhaḌak aa jaao is meñ koī begāna nahīñ
naġhma-e-tauhīd ham se sun ke vaa.iz raag kā
apnī biitī hai ye kuchh ġhairoñ kā afsāna nahīñ
hai ye kāshāna kisī kā apnā ye ḳhākī vajūd
ai barahman ye butoñ kā koī but-ḳhāna nahīñ
aañkh se us ne milā.ī aañkh kaifiyyat huī
ye nashīlī aañkh hai pur mai se paimāna nahīñ
zikr se rindoñ ke vaa.iz tū abhī vāqif nahīñ
ye to hū-haq kī sadā hai shor-e-rindāna nahīñ
aap hī ke dam-qadam se ghar mirā ābād hai
ḳhāna-e-dil aap kā hai koī vīrāna nahīñ
ain-mastī meñ bhī rahtā hai use pās-e-adab
haañ baḌā hushiyār hai kuchh 'shād' dīvāna nahīñ
KHana-e-dil kaba hai ye koi but-KHana nahin
be-dhaDak aa jao is mein koi begana nahin
naghma-e-tauhid hum se sun ke waiz rag ka
apni biti hai ye kuchh ghairon ka afsana nahin
hai ye kashana kisi ka apna ye KHaki wajud
ai barahman ye buton ka koi but-KHana nahin
aankh se us ne milai aankh kaifiyyat hui
ye nashili aankh hai pur mai se paimana nahin
zikr se rindon ke waiz tu abhi waqif nahin
ye to hu-haq ki sada hai shor-e-rindana nahin
aap hi ke dam-qadam se ghar mera aabaad hai
KHana-e-dil aap ka hai koi virana nahin
ain-masti mein bhi rahta hai use pas-e-adab
han baDa hushiyar hai kuchh 'shad' diwana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.