KHana-e-dil ko sajaoge to yaad aaunga
ḳhāna-e-dil ko sajāoge to yaad ā.uñgā
pyaar kī sham' jalāo.ge to yaad ā.ūñgā
bhīge manzar meñ mirā 'aks dikhā.ī degā
bārishoñ meñ jo nahāo.ge to yaad ā.ūñgā
hogī mahsūs tumheñ merī vafā kī ḳhushbū
tum koī ḳhushbū lagāoge to yaad ā.ūñgā
jab bhī aa.egā tumheñ sajne sañvarne kā ḳhayāl
paas ā.īne ke jāoge to yaad ā.ūñgā
ruuTh jaane pe koī jab na manā.egā tumheñ
aur tum sab ko manāoge to yaad ā.ūñgā
apnī tanhā.ī ko tum jab bhī sukūt-e-shab meñ
merī ġhazloñ ko sunāoge to yaad ā.ūñgā
bhūlne ke liye mujh ko mirī yādoñ ke nuqūsh
saf.ha-e-dil se miTāoge to yaad ā.ūñgā
KHana-e-dil ko sajaoge to yaad aaunga
pyar ki sham' jalaoge to yaad aaunga
bhige manzar mein mera 'aks dikhai dega
barishon mein jo nahaoge to yaad aaunga
hogi mahsus tumhein meri wafa ki KHushbu
tum koi KHushbu lagaoge to yaad aaunga
jab bhi aaega tumhein sajne sanwarne ka KHayal
pas aaine ke jaoge to yaad aaunga
ruTh jaane pe koi jab na manaega tumhein
aur tum sab ko manaoge to yaad aaunga
apni tanhai ko tum jab bhi sukut-e-shab mein
meri ghazlon ko sunaoge to yaad aaunga
bhulne ke liye mujh ko meri yaadon ke nuqush
safha-e-dil se miTaoge to yaad aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.