KHana-e-dil mein dagh jal na saka
ḳhāna-e-dil meñ daaġh jal na sakā
is meñ koī charāġh jal na sakā
na hue vo sharīk-e-soz-e-nihāñ
dil se dil kā charāġh jal na sakā
soz-e-ulfat se aql hai mahfūz
jal gayā dil dimāġh jal na sakā
barq thā iztirāb-e-dil lekin
ārzūoñ kā baaġh jal na sakā
dil-e-māyūs meñ umiid kahāñ
bujh ke phir ye charāġh jal na sakā
raushnī-e-shu.ūr bhī aa.ī
phir bhī dil kā charāġh jal na sakā
'arsh' kyā tujh se faiz mahfil ko
tū misāl-e-charāġh jal na sakā
KHana-e-dil mein dagh jal na saka
is mein koi charagh jal na saka
na hue wo sharik-e-soz-e-nihan
dil se dil ka charagh jal na saka
soz-e-ulfat se aql hai mahfuz
jal gaya dil dimagh jal na saka
barq tha iztirab-e-dil lekin
aarzuon ka bagh jal na saka
dil-e-mayus mein umid kahan
bujh ke phir ye charagh jal na saka
raushni-e-shuur bhi aai
phir bhi dil ka charagh jal na saka
'arsh' kya tujh se faiz mahfil ko
tu misal-e-charagh jal na saka
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 251)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.