KHandan-e-qais ka main to sada se pir hun
ḳhāndān-e-qais kā maiñ to sadā se piir huuñ
silsila-jumbān-e-shor-e-ḳhāna-e-zanjīr huuñ
ḳhāksārī ke abhī to darpai tadbīr huuñ
kushta ho kar ḳhaak jab hoñ tab kabhī iksīr huuñ
zo.af ne go kar diyā hai juuñ kamāñ gosha-nashīñ
ab bhī chalne ko jo pūchho to sarāsar tiir huuñ
rishta-e-ulfat ne bāñdhe haiñ par-e-parvāz aah
dām-e-hairat meñ ba-rañg-e-bulbul-e-tasvīr huuñ
tujh se ye uqda khulegā ai nasīm-e-sub.h-dam
ġhunche kī mānind is gulshan meñ kyuuñ dil-gīr huuñ
muntazir chashm-e-rikāb ai said-e-afgan hai hanūz
bosa-e-fitrāk kī ḳhvāhish hai vo naḳhchīr huuñ
faqr kī daulat ke aage saltanat kyā maal hai
bistare par apne ai rūba-mizājo sher huuñ
sach hai apne dam se qaa.em hai ye buniyād-e-jahāñ
raunaq-afzā-e-chaman ārā.ish-e-ta.amīr huuñ
jaisī chāhe vaisī le mujh se qasam qātil na Dar
hashr ko bhī gar kabhī terā maiñ dāman-gīr huuñ
ahl-e-jauhar hī mire mazmūñ ko samjhe hai 'nasīr'
maiñ bhī iqlīm-e-suḳhan meñ sāhib-e-shamshīr huuñ
KHandan-e-qais ka main to sada se pir hun
silsila-jumban-e-shor-e-KHana-e-zanjir hun
KHaksari ke abhi to darpai tadbir hun
kushta ho kar KHak jab hon tab kabhi iksir hun
zoaf ne go kar diya hai jun kaman gosha-nashin
ab bhi chalne ko jo puchho to sarasar tir hun
rishta-e-ulfat ne bandhe hain par-e-parwaz aah
dam-e-hairat mein ba-rang-e-bulbul-e-taswir hun
tujh se ye uqda khulega ai nasim-e-subh-dam
ghunche ki manind is gulshan mein kyun dil-gir hun
muntazir chashm-e-rikab ai said-e-afgan hai hanuz
bosa-e-fitrak ki KHwahish hai wo naKHchir hun
faqr ki daulat ke aage saltanat kya mal hai
bistare par apne ai ruba-mizajo sher hun
sach hai apne dam se qaem hai ye buniyaad-e-jahan
raunaq-afza-e-chaman aaraish-e-tamir hun
jaisi chahe waisi le mujh se qasam qatil na Dar
hashr ko bhi gar kabhi tera main daman-gir hun
ahl-e-jauhar hi mere mazmun ko samjhe hai 'nasir'
main bhi iqlim-e-suKHan mein sahib-e-shamshir hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.